Arrey - arrey Amit bhaiya , yeh toh gazab ho gya ЁЯШВЁЯШВ
Theek aisa hi kuch apney saath bhi hua hain ..
Meiney kabhi bhi trains mein chaai pina ya khana nahi support kiya.. pehley parents saath jaatein they toh wah log Abu Road sey delhi tak thermoflask mein chaai lekar chaltein they aur phir Delhi mein yato family members aakar dey jaatein they ya phir papa kisi achey hotel mein chaai banwaakar bharwaa letein they ..
Aur...
more... jab akeley chaley toh chai aur coffee ki aadat nahi hain so peena nahi padta ..aur even khaney ka bhi dhyan rakha jata hain ki packed food kha lengey but kuch trains ko chhodkar khana nahi khaayengey ..
..
Ab ek baar mein akeley travel kar raha tha Bhuj - Bareilly mein ...
Aur subah ka mausam tha .. bagal waaley passengers keh rahe they ki subah ki chai agar train mein naa piya toh train jrny ka aanand nahi nahi aata ..
Aur meiney unlogo ko samjhaya ki bhaley station sey pee lena chai but yeh local vendors jo bech rahe chai ..unsey na lena kyuki bharosa nahi ki chai kaisey bnaatein hongey ..
Par wah nahi maaney aur ek train mein local vendor chai bech raha tha ..ussey unhoney chai khareeda aur badein aaram sey chai piya ..
Ab wah vendor chai bechkar apna chai khatam kar chuka tha .. aur aagey jo usnein kiya ..wah aajtak yaad rehta hain ..
Wah toilet mein ghusa aur toilet key nal sey apney chai waaley container mein paani bharkar usko saaf kiya ..ЁЯШВЁЯШВ Toilet ki haalat aap samajh saktein ho ki subah kaisaa hoga .. ЁЯдоЁЯдв
Aur yeh sab wah family bhi dekh rahi thi .. ..
Pta nahi ab wah family chai peeti hain train mein yaa nahi ЁЯШВЁЯШВ