Aapko Chaunkna Chaiye ! kyuki ye koi tyohar ka drusya nhi balki ye roj ka drisya hai . Ye photo hai Manikpur Jhansi Passenger ki , bilkul yahi halat rehti Jhansi Allahabad Passenger ki .......is route pe yhi gaadiyan hai jo chhote stationo ko jodte huye bade gantavya tak pahunchti hain . Ye train is route ke bade shehero ko jodti hain jo hain Jhansi Banda Chitrakoot or Allahabad. Mai yahan likh rha hu qki ye gadiya un station ke yatri ke liye hain jahan koi mail/express/superfast nhi rukti lekin us samay par dusre train na hone ke karan in traino main bade station k yatri bhi safar karte hain. In yatriyo main roj ke aane jane wale samil rehte hain jo kisi sarkari daftar main kaam karte hain ya fir apne chikitsakiya kaam ke liye jaa rhe hain. In yatriyo ki rahat ke liiye Jhansi jn. se...
more... allahabad ke liye intercity train chalane ka prastav allahabad ko bheja gya tha kintu Allahabad ne kinhi karano ki wajah se is prastav ko thukra diya ab ya to ye kahe ki allahabad is taraf dhyan nhi dena chahta ya fir jhansi ko nayi train dene ke liye bahane bana rha hai chuki agar allahabd ko koi takniki samasya hai to fir kya kehna qki allahabad se kayi train shuru hoti hain lekin fir v Jhansi allahabad intercity ko kayi mahino se latka ke rkha hain . maine yha likha taki shayad logo ka is or dhyan jaye or apne star par jo kar skte hain sahayta kare .........._/\_